Saturday, January 20, 2007
Ae Jazba-e-DilAey jazba-e-dil gar main chaahoon,
her cheez muqaabil aa jaey
Aey jazba-e-dil gar main chaahoon,
her cheez muqaabil aa jaey
Manzil kay liay do gaam chaloon
Aur saamnain manzil aa jaey
Aey jaza-e-dil gar main chaahoon
Aey dil ki khalish chal yoon hee sahee,
chalta tu hoon un ki mehfil main
Aey dil ki khalish chal yoon hee sahee,
chalta tu hoon un ki mehfil main
Us waqt mujhay chonka dena
jab rang pay mehfil aa jaey
Us waqt mujhay chonka dena
jab rang pay mehfil aa jaey
Aey rahbar-e-kaamil chalnain ko
tayyar tu hoon per yaad rahey
Aey rahbar-e-kaamil chalnain ko
tayyar tu hoon per yaad rahey
Us waqt mujhay bhatka dena
jab saamnain manzil aa jaey
Us waqt mujhay bhatka dena
jab saamnain manzil aa jaey
Aey jazba-e-dil gar main chaahoon
Haan yaad mujhay tum ker lena
Awaz mujhay tum dey lena
Haan yaad mujhay tum ker lena
Awaz mujhay tum dey lena
Is raah-e-muhabbat mian koi
Derpesh jo mushkil aa jaaey
Is raah-e-muhabbat main koi
Derpesh jo mushkil aa jaaey
Aey jazba-e-dil gar main chaahoon
Ab kyun dhoondoon woh chashm-e-karam
Honain dey sitam baalaey sitam
Ab kyun dhoondon who chashm-e-karam
Honain dey sitam baalaaey sitam
Main chaahta hoon aye jazba-e-gham
Mushkil pe say mushkil aa jaaey
Main chaahta hoon aey jazba-e-gham
Mushkil pe say mushkil aa jaaey
Aey jazba-e-dil gar main chaahoon
her cheez muqaabil aa jaey
Manzil kay liay do gaam chaloon
Aur saamnain manzil aa jaey
Aey jaza-e-dil gar main chaahoon
Ae Jazba-e-Dil.mp3 |
If i can somehow describe it someday,
only to myself,
I will consider it an achievement of extraordinary proportion...
2 hours cookbook at 3:17:00 PM